Sabaq No 28

 

SABAQ 28

 Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
 SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam) 
 SABAQ 28
 
🔺Bahes aur baaton se ulta pheri ( continued)
🌸 Allah ( swt) ke rahmath pe ke Woh jise chahe hidayath de, is par mushrikeen koi sawaal kar na sake tho ab yeh log ek alag hi bahes ched di Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko nicha karne ki. Shahenshah, woh batane lage ki hamesha shaan aur daulat se malamal rahta hai,aur sirf izzatdaar  shaksiyath unki bargaah mein haazir ho sakte hai. Aise shahenshah ke paas hamesha intehahi aqalmand mashaura dene wale madadgaar, hazaron naukar, muhafiz aur biwiyan hoti hai.
🌸 Yeh kaise ho sakta hai ki,  Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) jo Allah( swt) ke numainde hai , bhala bazaaron mein roti kamane ke liye mare mare phirte hai.?
📖” Woh bole…Kyun na utara gaya in ke saath koi farishte ko jab yeh hame dar sunate? Ya gayeb se inhe koi gazana mil jata ya koi baagh hotha jisme se yeh khathe? ‘
Aur zaalim bole’ tum tho pairwi nahi  karte  magar  ek aise mard ki jis par jaadu hua ho.” 📌  ( 25: 7,8)
🌸 Mushrikeen bahes karne lage ki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) haqeeqi mein paigamber hai tho beshaque  Aap shaheshaon ki numaindigi karna chahhiye. Kahan hai inke mahal? Inki daulat? Inka shahi rurba? Aap ke paas tho ek farishte ka bhi saath nahi jo Aap ki tableeq nein madad karen!
🌸 Lekin, Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apni muhim ko ek alag hi nazariye se dekha tha. Aap ko Allah( swt) ka paigaam logon tak , ameer aur gareeb, taqatwar aur kamzor, azaad aur gulaam ko pahunchana tha. Agar Aap shahenshahi ka rob rakte, tho Aap aam logon tak , unki  zyada jamaaton tak nahi pahunch sakte the. Aap ke muhim ka maqsad tha ki Aap ek aam insaan ki tarah rahe, aur Islam ko logon tak pahunchaye, aur islam ko apni rozana ki zindagi mein amal pe laye, yeh koi hatiyaar  ya auzaar nahi hai jo sirf shahenshahon, alimzaat aur phalsafaon ko tafreeh karane ke liya hai.
🌸 Qur’an in in mushrikeen ki umeedon ko ek hi lafz se nakara kardiya aur Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam)  ka darja bayaan kiya ke Aap Rasool hai.
🌸  Yeh hamen dekh kar haiaangi hogi ke Quraysh apne hi ek se itni nafrath aur zulm karenge.Kya galat tha Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki paigaam nein? Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam)  aur mushrikeen ke darmiyaan jo buniyaadi takraar thi woh Tawheed ki thi jise mushrikeen ne apne hisaab se tabdil kardiya, budhparasthi se aur mutazad se. Par wahin par woh Ek Khuda ki kai marhale ko qubul karte hain.
🌸 Ek misaal yeh hai ki, mushrikeen is baat maante hai ki Allah( swt) ek hai aur Woh apne Aap mein ekhthiyaar raknewalaa hai. Mushrikeen,  Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ke is  baaton  ko bhi maante
 hai :
🔻Allah (swt) , wahed is kaaynaath ka Qadir hai.
🔻Woh sab ka Rab aur Atakarne wala hai saari maqluqaat ka.
🔻Woh wahed hai zindagi aur mauth ata karnewala aur
🔻Woh wahed hai faislaa karnewala jiska koi saani nahi.
🌸 Lekin iske bawjuud , Allah( swt) ki azmath aur shaan pe yaqeeda rakh kar bhi , unka yeh yaqeeda tha ki kuch logon ko Allah( swt) khususi taqaaten ata karta hai. Yeh log, mushrikeen ka maanna hai, kuch bhi karamaten kar sakte hain jaise ki bimaar ki bimaari se shifa, aur baanj auraton ke bache nawazna. Yeh maante the ki aise log inki duan qubul hone mein , inke aur Allah(swt)  ke darmiyaan sifarish karne ka kaam karte hain.
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 28.