Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam)
SABAQ 27
Bahea aur baaton ki ulta pheri ( continued )
Dusre bahes karne lage ki beshaque Allah ( swt ) ne puri kaaynaath banayi hai, lekin yeh namumkeen hai ki koi fanaa hui cheez ko dobara banaye.Allah ( swt) is baat ki khilafat karte hai aur yeh batate hai ki yeh aasaan hai koi cheez ko dabara banana aur kisi mein jaan dalna is nisbath ke kuch nahi mein se koi cheez banana. ( bina zarre ke kuch banana) .
β Kya hum paheli baar kaynaath banakar thak gaye? Balki woh naye banne se shuba mein haiβ ( 50:15)
Halaanki Qurayash maante the ki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ek sacche insaan hai, unhe yeh mushkil tha ke Aap ko Allah( swt) ke bheje hue Rasool ki shakl mein qubul karen. Unka yeh yaqeeda tha ki ek mamuli insaan ko itni badi zimmedari kaise di ja sakti hai. Jab Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne apni Rasool hone ka dawa pesh kiya, tab Quraysh uska jawab yeh kahkar diya:
βAur bole, is Rasool ko kya hua, khana khatha hai aur bazaar mein chalta hai?
( 25:7)
Allah ( swt) Quraysh ke is mushtabe ( confusion) ko bayaan karte hue dusri ayah mein farmaate hai:
β Balke inhe is ka achamba hua ki inke paas inhi mein ka ek dar sunanewal tashreef laya hai.β
(50:2)
Quraysh iska bhi inkaar karne lage ki fana pazeer ko Allah( swt) ki hidayath naseeb hui. Allah ( swt) iska tazkara karte hue farmate hai apni ayah mein:
β Tum farmao, kisne utaari woh kitaab jo Musa laye the, roshni aur logon ke liye hidayath.β
( 6:91)
Qurβan mein behisaab mutawazen diye gaye hai kaise qaumon ne Aap ko Rasool maanne se inkaar kiya kyun ke Aap insaan the jo khoon aur gosh se bane hue the.
β Tum tho hum jaise aadmi ho.β
( 14:10)
Qurβan mein yeh soorat e bayaan kiya gaya hai ki kaise Rasoolon ne apne dushmanon ko jawab diya hai:
βSach hai, hum tho tumhari tarah insaan hai, magar Allah( swt) apne bandon mein jis par chahe ahsaan farmata hai.β
( 14:11)
Allah ( swt) ke saare Paigamber aur Rasool, sab faani the aur Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) bhi koi alag nahi the. Allah ( swt) ne koi farishte ko paigamber banakar bahi bheja kyun ke insaan gaibi taqaton ke kadam ba jadam nahi chal sakte. Allah ( swt) ke paigambaron ka kirdaar sirf naake Allah( swt) ki wahi insaaniyath tak pahunchaye balki insaan ko sikhane ka kaam bhi tha ke kaise woh is ruhani wahiyon ko apni duniyawi zindagi mein kaise amal karen.
Insaani Paigamberon ki siwa yeh kaam kaun achi tarah nibha sakta? Agar Allah ( swt) farishton ko paigamber banakar bhejthe, tho yeh mushrikeen aasaani se puchlete β Kaise hum in gaibi taqaton ka amal kar sakten hai?β Yeh ruhani ilm is ayah mein bhi bayaan kiya gaya hai:
βAur agar hum farishte ko Rasool banate tho hum ise phir bhi insaan banate, aur inlogon par yeh maamla mushthaba rakhte.β
( 6:9)
Ab, jyun ke mushrikeen be qubul kiya ki Ibraheem, Ismaβeel aur Musa saare paigamber the aur insaan hi the, tho woh ab zyada inkaar na kar payenge ki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) paigamber hai aur woh insaan kyun hai.Isliye ab woh yeh kahkar mazaak udate rahe ki kaise Allah( swt) ne ek besahara yateem bache ko apna Rasool banaya. Kyun Allah ( swt) ne Quraysh ya Thaif ke behtreen logon mein se kyun nahi chuna?
β Aur bole kyun na utara gaya Qurβan in do shaheron ( Quraysh ya Thaif) ke kisi bade aadmi par?β
(43:31)
Allah (swt) be is sawaal ka jawaab is tarah diya:
βKya tumhare Rab ki rahmath woh banathe hai?β
(43:32)
Qurβan, paigambari , hidayath- yeh saare Allah( swt) ki Rahmath hai, Woh wahed hai faislaa karnewala ki Woh kise kya ata karen:
β Beshaque, Allah khub jaanta hai kahan apni Risalath rakenβ
(6:124)TO BE CONTINUEDβ¦β¦.
END OF PART 27.