Sabaq No 25

SABAQ 25

 Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 

 SEERAH OF MUHAMMAD ( SalAllahu alaihi wa sallam) 
 SABAQ 25
 
✨ Propaganda. ( prachaar karna) 

πŸ’ Jab mushrikeen, Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka mazak udakar, ya  Aap ki naqal karkar,  ya phir logon ka Aap ki tableeq se dyaan hatakar , laakh koshish karne par bhi naakaam hue tab  woh Aap ko badnaam karne ki koshish karne lage.

πŸ’ Pahele tho in logon ne kaha ki Qur’an kuch bhi nahi balki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke dimaag ke khwabon ki uljhan bhari gatri hai jo Aap raat ko dekte hai aur phir subha uski tilawath karte hai. Phir unlogon ne kaha ki Qur’an ki line ba line man khadath hai jise khud Aap ne kaha, phir dusri baar yeh kahte ki Qur’an ko koi dusre aadmi ne tajveez kiya Aap ke liye, aur Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam)  hifz karte aur phir uski tilawath karte.
πŸ’ Aur phir dusre mauke par mushrikeen kahne lage ki Qur’an  jhooth hai aur Aap ne dusron ki madad se Qur’an ko manghadath kar diya. Aur woh yeh bhi kahne lage ki Qur’an ek lahu kahaniyon ka majma hai aur purani kahaniyan hai jo Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) subha aur shaam tilawath karte.
πŸ’ Woh tho yahan tak kahne lage ki bure jinn ya badruhen aakar Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko ayaah sikhathe. Ispar Allah ( swt) ne farmaya:
πŸ“– β€ Kya main aapko itela karun unlogon ki jispar badruhen  utare jate hai? Woh  har jhooten gunhegaar ke upar utaare jaate hai.” πŸ“Œ  ( 26: 221-222) .
πŸ’ Mushrikeen ne ye bhi affaah phailayi ke Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko dauren aur kharkhi aate hain.   Mushrikeen ne kaha ki , yeh dauren Muhammad ( SalAllahu alahi wa sallam) ki shayari inspiration ki wajeh se hai! Iske mutalab ke jawab mein Allah ( swt ) ne farmaya: 
πŸ“– β€ Shayaron ke masayal,  woh jo gumraah hai wahi unki pairwi karte hai. Woh bina maqsad ke har mazmun par chel khadmi karte hai, aur us cheezon ka mutala karte hai jo inhone kiya na ho.” πŸ“Œ ( 26: 224-226) 
πŸ’ Is ayaah mein , Allah ( swt)  ne mushrikeen ke is mutaale ko  ke Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam)  ek shayar hai, chunauthi diya hai. Shayaaron ke theen  khususiyathen bayaan ki hai: unke saathi gumraah hote hai; yeh log koi bhi mazmum ko bhada chadakar bayaan karte hai; aur yeh us kaam ki badaayi karte hai jise inhone kiya hi nahi.
πŸ’ Jab hum ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)  ko bariki se parkhen   aur Aap ke aur Aapke Sahabiyon ke kirdaar ko jaanche, tho pata chala ki aap sab bahuth hi seedhe the. ; Muhammad ( SalAllahu alaihi qa sallam) ki hidayathen sirf logon ko Allah ( swt) ki ibaadat karne , aur Ek Khuda ke mauzu par hi tawajju zyada thi aur Mohammad  ( SalAllahu alaihi wa sallam) apni seekhen khud bhi amal karte aur khud apni zindagi waise hi guzarte aur apne Sahabiyon ko bhi wahi raaste par le jaate the. 
πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 25.